Monday, January 10, 2011

Faiz Ahmed Faiz:

yeh kaun sakhi haiN
jin ke lahu ki
ashrafiaaN, chhan chhan, chhan chhan,
dharti ke peham piyaase
...kashkol meiN Dhalti jaati haiN
kashkol ko bharti haiN
yeh kaun jawaaN haiN arz-e-ajam
yeh lakh~luT
jin ke jismoN ki
bharpoor javaani ka kundan
yuN khaak meiN reza reza hai
yuN koocha koocha bikhra hai
ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!
kiyuN noche ke haNs haNs phaiNk diye
in aaNkhoN ne apne neelam
in hoNtoN ne apne marjaaN
in haatoN ki "be~kal chaandi
kis kaam aaii, kis haath lagi?"

"ai poochne waale pardesi!
yeh tifl-o-javaaN
us noor ke nauras moti haiN
us aag ki kachchhee kaliaaN haiN
jis meeThe noor aur kaRwi aag
se zulm ki andhi raat meiN phooTa
subh-e-baghaavat ka gulshan
aur subh hui man man, tan tan,
in jismoN ka chaandi sona
in chehroN ke neelam, marjaaN,
jag~mag jag~mag, rukhshaaN rukhshaaN
jo dekhna chaahe pardesi
paas aaye dekhe jee bhar kar
yeh zeest ki raani ka jhoomar
yeh amn ki devi ka kaNgan!"

Faiz Ahmad Faiz

0 comments:

Post a Comment